Mud Kar Dekho

Saari hasti hui aankhen
Masoom si baatein
Logon ki charchaa
Badalte hue khayaal
Mud kar dekho
Man ki Muraad

Is badalti bigadti awaara zindagi mein
Bheed ke beech, ghani tanhaai mein
Aankhen na modo
Mud kar dekho

Rangeen sunhari shaamein
Masti bhari hawaaien
Mehfil jashn-e-jahan
Dhunon mein lipte kadam
Mud kar dekho
Dilon ki khwaishein

Hai saath kuch anjaan logon ka
Apno se door, kisi pardes mein
Aankhen na modon
Mud kar dekho

Dher saari kahaaniya
Puraane kuch log
Dilchasp se chutkule
Naye raaston ki talaash
Mud kar dekho
Khayaalon ka junoon

In sawaalon, jawaabon ki kashmakash mein
Uljhan se ghire, har pal talaash mein
Aankhen na modon
Mud kar dekho

1 thought on “Mud Kar Dekho”

Share your thoughts!